Ye sadiyon purani mohabbat hai jaise
Har waqt, har lamha kyun lagta hai aise
Ye sadiyon purani mohabbat hai jaise
Jab dil de gawahi tere pyar ki aise
Fir niyyat-e-shaq ki gunjaish ho kaise
Ye faasle, aur ye dooriyan kaisi
Humari ye majbooriyan kaisi
Apnalo jo humko to woh hadein bhi kaisi
Ibteda ho jiski, inteha ke jaisi
Ye aaj jo pal hain woh kal bhi hon
Is baat ki humko khabar hai kaisi
Ab thaam ke haath bas haan kar do
Fir zameen bhi lagegi jannat ke jaise...
Ye sadiyon purani mohabbat hai jaise
Jab dil de gawahi tere pyar ki aise
Fir niyyat-e-shaq ki gunjaish ho kaise
Ye faasle, aur ye dooriyan kaisi
Humari ye majbooriyan kaisi
Apnalo jo humko to woh hadein bhi kaisi
Ibteda ho jiski, inteha ke jaisi
Ye aaj jo pal hain woh kal bhi hon
Is baat ki humko khabar hai kaisi
Ab thaam ke haath bas haan kar do
Fir zameen bhi lagegi jannat ke jaise...
No comments:
Post a Comment