Welcome Guest, Register Your Group and Start Sharing SMS.

21 Jun 2015

very long poetry In Hindi Collection 2015

kal bhi ek kalaam liki thi maine
aankon me meri thi kushi ke aansoon
aaj bhi meri aankh bar aayee
dadkanein bhi huyi thej
kya mein kush tha, nahin
kya mein dukhi tha, nahin
par kya hai jo muje khaaye jaa raha hain
are haan, mein gusse mein tha
meri halath dekh sab gabra gaye
bande ko kahin heartattack na ho jaye
meri dadkan thi etni tej
badan bhi thapne laga
man kiya ek jaam peeloon
japad mari ek dost ne
bola gam kabhi jaam mein nahin doobthe
socha inhe aasuvon se bahadoon
magar kambakth meri aankh be aaj suki thi
na jaane kya baath thi
dil mein kuch baari barkam beitha tha
hatne kaa naame hi nahin le raha tha
kaam tha bahut, samay bhi kam
par mera yeh man kahin badalon me fansa tha
ek choti see bath thi bas
magar baath bahut thi khaas
koshish bahut kartha hoon bol doon
magar halath mere bandhi banathe hain
akhir me kalam liya hain
likne ki thamanna hain
magar na jaane kya likoonga
kithna likoonga
batein tho bahut hain
magar yeh batein bataye nahin jaate
farz yeh aise ki jatayi nahin jaati
bas nibayi jaati hain
magar na jaane kyon
nibanein ki meri thakdeer nahin
ek baap ko beti se
baai ko behen se
dost ko dost se
jo itemaad milti hain
hamein naseeb nahin hoti
jab rishton ki buniyaad nahin hoti
tho rishte bhi dushmani se kam nahin hote
jab meri thakdeer liki thee tho shayad
kudha ke kalam me kushi ki siyahi nahi thee
bas gum ke pyale se usne lik dee hogi
ek khushi dil ne kya maang li
meri har khushi ko nazar lag gayi
kushnaseebon ko tho milte hain aise rishte
jinme vishwaas bara hota hain
mushkil mein jo sath sath hota hain
dushman bhi hamein yaad kar lega shaayad
hamare tho hame bula gaye hain
batein hamare unko lage kadvee
bas dekne par muskurathe hain - lekin
hamein bulane se bhi kathrathe hain
na kushi mein, na mushkilon me
aise bhi kya bure hain hum
koi hamein paas nahin chahta
are izhaar tho kya
koi inkaar ke liye bhi nahi dekta
mehboob nahin mangthe kuda se
hum tho bas ek pyaara dost mangthe hain
galti kare woh kabi tho
dantne ka rehem mangthe hain
rone lage tho kanda dene ki
uske ke liya mar mitne ki
hum bas dua mangthe hain
ek aakri waada hain hamara
theri rehmet ki yeh pukar hain hamara
wada karte hain dosti nibhayenge
koshish yahi rahegi use na satayenge
zarurat pade toh woh dil se pukare
mar bhi rahe honge to mohlat lekar aayenge

No comments:

Post a Comment